Tuesday, January 27, 2015

Bachpan

Bachpan

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Jis bachpan me hum jeete the;
Mummy Papa ka hath pakar,
Chalna seekha karte the

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Jis bachpan me sirf pyaar tha;
Bhai behen ke jhagro me,
Halka sa mithaas tha

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Jis bachpan me na TV thi;
Na mobile phone na music system,
Phir bhi na koi kami thi

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Jab baarish me hum bheegte the;
Chote chote kagazo ki,
Kashtiya banaya karte the

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Hum har ek sport ke fan the;
Cricket, Football, Badminton ya Kanche,
Hare ek khel me champ the

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Jab Birthday partiya manate the;
He Man Cake aur Gold Spot ke beech,
Khushiyaan dhoond laate the

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Na koi fikar thi na pareshaani;
Wo raato ko loriya sunakar sulati,
Nani ki pariyo wali kahaani

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Jisme na jaane kitne rang the;
Saawan ka mahina aate hi,
Udaate hum kitne patang the

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Na Twitter na Orkut na Facebook tha;
WWF Cards aur Lattu ke khel me,
Liking aur Sharing se kayi zyada sukh tha

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Jab Power Cuts bhi na thi sazaa;
Andheri galiyo me chip chip kar,
I Spy khelne ka tha alag hi mazaa

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Jab 1 rupay me 4 Phuchke aate the;
Bhai, Behen, Dost, Padosi,
Saath sab maze le lekar khaate the

Wo bachpan bhi kya bachpan tha,
Jo bachpan na laut kar aayega;
Aise hi khatti meeti yaadein bane,
Ham sabke dilo me samayega :-)